nigah-e-yaar soon haasil hai mujh koon may-noshi | निगाह-ए-यार सूँ हासिल है मुझ कूँ मय-नोशी

  - Daud Aurangabadi

nigah-e-yaar soon haasil hai mujh koon may-noshi
lab-e-khamosh ne baksha hai us ke khaamoshi

baja hai gar kare aashiq koon ek daur mein mast
hai jaam-e-chashm-e-sanam mein sharaab-e-be-hoshi

kiya hai shokh ne bar mein qaba-e-naafarmaan
uduul kyun na kare waada-e-ham-aaghoshi

sajan ke navak-e-mizgan ke dil mein haibat rakh
kiya hai main ne ye dariya mane zirh-poshi

kiya nahin hoon raqam khat main is sabab daaud
main nama-bar soon kaha hoon ki raaz hai goshi

निगाह-ए-यार सूँ हासिल है मुझ कूँ मय-नोशी
लब-ए-ख़मोश ने बख़्शा है उस के ख़ामोशी

बजा है गर करे आशिक़ कूँ एक दौर में मस्त
है जाम-ए-चश्म-ए-सनम में शराब-ए-बे-होशी

किया है शोख़ ने बर में क़बा-ए-नाफ़रमाँ
उदूल क्यूँ न करे वादा-ए-हम-आग़ोशी

सजन के नावक-ए-मिज़्गाँ के दिल में हैबत रख
किया है मैं ने ये दरिया मने ज़िरह-पोशी

किया नहीं हूँ रक़म ख़त मैं इस सबब 'दाऊद'
मैं नामा-बर सूँ कहा हूँ कि राज़ है गोशी

  - Daud Aurangabadi

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Aurangabadi

As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari