ishq ne tujh khaal ke mujh koon khayaali kiya
dil koon khayaalaat soon gair ke khaali kiya
fikr pahunchti nahin misra-e-saani kahoon
haq ne tere qad ke tai misra-e-aali kiya
hijr mein jaageer-e-aish-e-majnoon hui thi taghayyur
vasl ke deewaan ne phir ke bahaali kiya
gulshan-e-ishrat ka vo kyun na nazaara kare
tujh chaman-e-husn ka dil koon jo maali kiya
bosa use de jawaab yu hai jo ab savaab
tujh ange daaud ne lab koon sawaali kiya
इश्क़ ने तुझ ख़ाल के मुझ कूँ ख़याली किया
दिल कूँ ख़यालात सूँ ग़ैर के ख़ाली किया
फ़िक्र पहुँचती नहीं मिस्रा-ए-सानी कहूँ
हक़ ने तेरे क़द के तईं मिस्रा-ए-आली किया
हिज्र में जागीर-ए-ऐश-ए-मजनूँ हुई थी तग़य्युर
वस्ल के दीवान ने फिर के बहाली किया
गुलशन-ए-इशरत का वो क्यूँ न नज़ारा करे
तुझ चमन-ए-हुस्न का दिल कूँ जो माली किया
बोसा उसे दे जवाब यू है जो अब सवाब
तुझ अंगे 'दाऊद' ने लब कूँ सवाली किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi
our suggestion based on Daud Aurangabadi
As you were reading Visaal Shayari Shayari