aaj badli hai hawa saaqi pila jaam-e-sharaab
baras kaali wa'ada jaate hain baras kaale sahaab
aarsi soon ab sharaab-e-naab kheecha chahiye
neend soon uth yaar ne dekha hai chashm-e-neem-khwaab
saaf dil ho gar hai tujh koon khwaahish-e-tark-e-hawa
aab-e-aaiina upar aata nahin hargiz habaab
soorat-e-mahtaab ro zaahir hai mere ashk soon
jalva-gar jiyooun aab-e-dariya mein hai aks-e-mahtaab
har kitaab-e-sohbat-e-rangeen ke ma'ni dekh kar
fard-e-tanhaai ke mazmoon koon kiya hoon intikhaab
saahib-e-ma'ni kiya hai haq mujhe roz-e-binaa
posteen jaama hai mere bar mane misl-e-kitaab
khema-e-gul baagh mein barpa hai ai daaud aaj
tan rahi hai dekh kya aawaaz-e-bulbul ki tanaab
आज बदली है हवा साक़ी पिला जाम-ए-शराब
बर्स काली वअ'दा जाते हैं बरस काले सहाब
आरसी सूँ अब शराब-ए-नाब खींचा चाहिए
नींद सूँ उठ यार ने देखा है चश्म-ए-नीम-ख़्वाब
साफ़ दिल हो गर है तुझ कूँ ख़्वाहिश-ए-तर्क-ए-हवा
आब-ए-आईना उपर आता नहीं हरगिज़ हबाब
सूरत-ए-महताब रो ज़ाहिर है मेरे अश्क सूँ
जल्वा-गर जियूँ आब-ए-दरिया में है अक्स-ए-माहताब
हर किताब-ए-सोहबत-ए-रंगीं के मअ'नी देख कर
फ़र्द-ए-तन्हाई के मज़मूँ कूँ किया हूँ इंतिख़ाब
साहब-ए-मअ'नी किया है हक़ मुझे रोज़-ए-बिना
पोस्तीं जामा है मेरे बर मने मिस्ल-ए-किताब
ख़ेमा-ए-गुल बाग़ में बरपा है ऐ 'दाऊद' आज
तन रही है देख क्या आवाज़-ए-बुलबुल की तनाब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi
our suggestion based on Daud Aurangabadi
As you were reading Environment Shayari Shayari