jag hai mushtaaq piw ke darshan ka | जग है मुश्ताक़ पिव के दर्शन का

  - Daud Aurangabadi

jag hai mushtaaq piw ke darshan ka
kis koon neen ehtiyaaj darpan ka

saaf dil hai jo aarsi maanind
nit hai hairaan jamaal-e-raushan ka

garche hona hai aib-poshi jahaan
kasb kar ikhtiyaar sozan ka

kyun na hue aashiqi mein khauf raqeeb
har safar mein khatra hai rehzan ka

zohd-e-zaahid hai khauf-e-mahshar soon
taab naamard koon kahaan ran ka

khaak ho yaar ki gali mat chhod
garche kuchh muddaa hai daaman ka

sabr kar hijr mein tuun ai daaud
dekhna hai agar sireejan ka

जग है मुश्ताक़ पिव के दर्शन का
किस कूँ नीं एहतियाज दर्पन का

साफ़ दिल है जो आरसी मानिंद
नित है हैराँ जमाल-ए-रौशन का

गरचे होना है ऐब-पोशी जहाँ
कस्ब कर इख़्तियार सोज़न का

क्यूँ न हुए आशिक़ी में ख़ौफ़ रक़ीब
हर सफ़र में ख़तर है रहज़न का

ज़ोहद-ए-ज़ाहिद है ख़ौफ़-ए-महशर सूँ
ताब नामर्द कूँ कहाँ रन का

ख़ाक हो यार की गली मत छोड़
गरचे कुछ मुद्दआ है दामन का

सब्र कर हिज्र में तूँ ऐ 'दाऊद'
देखना है अगर सिरीजन का

  - Daud Aurangabadi

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Aurangabadi

As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari