dil mein khayaal-e-yaar hai jaasoos ki namat
rakhta hoon is koon nang soon naamoose ki namat
veeraan hai seena bas-ki tire baaz ai sanam
fariyaad-e-dil hai naghma-e-naqoos ki namat
us raskh-e-mehr paas pahunchne ka shauq hai
is vaaste anjhuń hain mere oos ki namat
is fasl-e-nau-bahaar mein be-baada-e-ghuroor
har bul-hawas hai rang mein taaoos ki namat
us shamma-roo ke ishq mein daaud gal sakal
tan ho raha hai parda-e-faanuus ki namat
दिल में ख़याल-ए-यार है जासूस की नमत
रखता हूँ इस कूँ नंग सूँ नामूस की नमत
वीराँ है सीना बस-कि तिरे बाज ऐ सनम
फ़रियाद-ए-दिल है नग़्मा-ए-नाक़ूस की नमत
उस रश्क-ए-महर पास पहुँचने का शौक़ है
इस वास्ते अँझूँ हैं मिरे ऊस की नमत
इस फ़स्ल-ए-नौ-बहार में बे-बादा-ए-ग़ुरूर
हर बुल-हवस है रंग में ताऊस की नमत
उस शम्अ-रू के इश्क़ में 'दाऊद' गल सकल
तन हो रहा है पर्दा-ए-फ़ानूस की नमत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi
our suggestion based on Daud Aurangabadi
As you were reading Valentine Shayari Shayari