ye kyun sochen ki vo daad-e-wafa dete to kya hota | ये क्यों सोचें कि वो दाद-ए-वफ़ा देते तो क्या होता

  - Daulat Ram Sabir Panipati

ye kyun sochen ki vo daad-e-wafa dete to kya hota
jo rone par bhi paabandi laga dete to kya hota

laga rakhi hai dil mein aag un ki be-niyaazi ne
na jaane jo vo daaman se hawa dete to kya hota

tadapne ki ijaazat hai ye un ki meherbaani hai
vo hans kar taal jaate hain saza dete to kya hota

faqat kuchh daagh seene mein chhupa laaye hain deewane
ye pounji bhi jo raahon mein luta dete to kya hota

bade kaayaan hain jin ka naam ham ne shaikh rakha hai
ye gaali vo bhi ham ko barmala dete to kya hota

bahut achha hua mehfil se uth ke chal diye saabir
bhare baithe the koi gul khila dete to kya hota

ये क्यों सोचें कि वो दाद-ए-वफ़ा देते तो क्या होता
जो रोने पर भी पाबंदी लगा देते तो क्या होता

लगा रखी है दिल में आग उन की बे-नियाज़ी ने
न जाने जो वो दामन से हवा देते तो क्या होता

तड़पने की इजाज़त है ये उन की मेहरबानी है
वो हँस कर टाल जाते हैं सज़ा देते तो क्या होता

फ़क़त कुछ दाग़ सीने में छुपा लाए हैं दीवाने
ये पूँजी भी जो राहों में लुटा देते तो क्या होता

बड़े कायाँ हैं जिन का नाम हम ने शैख़ रखा है
ये गाली वो भी हम को बरमला देते तो क्या होता

बहुत अच्छा हुआ महफ़िल से उठ के चल दिए 'साबिर'
भरे बैठे थे कोई गुल खिला देते तो क्या होता

  - Daulat Ram Sabir Panipati

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daulat Ram Sabir Panipati

As you were reading Shayari by Daulat Ram Sabir Panipati

Similar Writers

our suggestion based on Daulat Ram Sabir Panipati

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari