diya fareb tamannaa ko har ghadi main ne | दिया फ़रेब तमन्ना को हर घड़ी मैं ने

  - Daulat Ram Sabir Panipati

diya fareb tamannaa ko har ghadi main ne
muraad man ki na paai magar kabhi main ne

umeed-o-beem se dil ko najaat mil na saki
guzaar di hai tazbzub mein zindagi main ne

khird ka raag mere gham se daad pa na saka
junoon ko saunp diya saaz-e-aagahi main ne

bula ke mujh ko sar-e-bazm be-hijaab kiya
tire karam ki haqeeqat bhi dekh li main ne

visaal-o-hijr ke jhagdon se be-niyaaz hoon main
isee mein dekhi hai le de ke behtari main ne

tire junoon ke ta'alluq main kya kahoon saabir
tujhe qareeb se dekha nahin abhi main ne

दिया फ़रेब तमन्ना को हर घड़ी मैं ने
मुराद मन की न पाई मगर कभी मैं ने

उमीद-ओ-बीम से दिल को नजात मिल न सकी
गुज़ार दी है तज़ब्ज़ुब में ज़िंदगी मैं ने

ख़िरद का राग मिरे ग़म से दाद पा न सका
जुनूँ को सौंप दिया साज़-ए-आगही मैं ने

बुला के मुझ को सर-ए-बज़्म बे-हिजाब किया
तिरे करम की हक़ीक़त भी देख ली मैं ने

विसाल-ओ-हिज्र के झगड़ों से बे-नियाज़ हूँ मैं
इसी में देखी है ले दे के बेहतरी मैं ने

तिरे जुनूँ के तअ'ल्लुक़ मैं क्या कहूँ 'साबिर'
तुझे क़रीब से देखा नहीं अभी मैं ने

  - Daulat Ram Sabir Panipati

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daulat Ram Sabir Panipati

As you were reading Shayari by Daulat Ram Sabir Panipati

Similar Writers

our suggestion based on Daulat Ram Sabir Panipati

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari