jaan di jis ke liye us ko khabar koi nahin | जान दी जिस के लिए उस को ख़बर कोई नहीं

  - Daulat Ram Sabir Panipati

jaan di jis ke liye us ko khabar koi nahin
ab khula mujh par ki mar mitna hunar koi nahin

aa hi pahunchee ik dariche se shu'a-e-aftaab
main ye samjha tha shab-e-gham ki sehar koi nahin

aaj kis ki jaan se kheloge ai chaaragaro
aaj pahluu mein mere zakham-e-jigar koi nahin

zaawiya-ha-e-nazar mein aah itna ikhtilaaf
go tiri tahreer mein zer-o-zabar koi nahin

sang-rezon se hua jaata hai daaman taar taar
jaama-e-tahreer mein mere guhar koi nahin

baj uthi saabir hawa ke zor se zanjeer-e-dar
main ye samjha tha koi aaya magar koi nahin

जान दी जिस के लिए उस को ख़बर कोई नहीं
अब खुला मुझ पर कि मर मिटना हुनर कोई नहीं

आ ही पहुँची इक दरीचे से शुआ'-ए-आफ़्ताब
मैं ये समझा था शब-ए-ग़म की सहर कोई नहीं

आज किस की जान से खेलोगे ऐ चारागरो
आज पहलू में मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर कोई नहीं

ज़ाविया-हा-ए-नज़र में आह इतना इख़्तिलाफ़
गो तिरी तहरीर में ज़ेर-ओ-ज़बर कोई नहीं

संग-रेज़ों से हुआ जाता है दामन तार तार
जामा-ए-तहरीर में मेरे गुहर कोई नहीं

बज उठी 'साबिर' हवा के ज़ोर से ज़ंजीर-ए-दर
मैं ये समझा था कोई आया मगर कोई नहीं

  - Daulat Ram Sabir Panipati

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daulat Ram Sabir Panipati

As you were reading Shayari by Daulat Ram Sabir Panipati

Similar Writers

our suggestion based on Daulat Ram Sabir Panipati

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari