jahaan mein laaya tha hathiyaar bin inqilaab baapu ne | जहाँ में लाया था हथियार बिन इंक़लाब बापू ने

  - DILBAR

jahaan mein laaya tha hathiyaar bin inqilaab baapu ne
kiya poora tha apne desh ka har khwaab baapu ne

ahinsa ka padhaakar paath har ik deshvasi ko
dilon mein desh-jazbe ka bhara sailaab baapu ne

mitaakar bair nafrat aur nasli bhedbhaawon ko
muhabbat ke sajaaye baagh the shaadaab baapu ne

jo tha anjaan apne farz se usko dilaayaa yaad
jagaaya yun mere is mulk ka har shaab baapu ne

bhula sakte nahin unke kabhi vo kaam ham dilbar
kiye the desh-hit mein jo sabhi naayaab baapu ne

जहाँ में लाया था हथियार बिन इंक़लाब बापू ने
किया पूरा था अपने देश का हर ख़्वाब बापू ने

अहिंसा का पढ़ाकर पाठ हर इक देशवासी को
दिलों में देश-जज़्बे का भरा सैलाब बापू ने

मिटाकर बैर नफ़रत और नस्ली भेदभावों को
मुहब्बत के सजाए बाग़ थे शादाब बापू ने

जो था अनजान अपने फ़र्ज़ से उसको दिलाया याद
जगाया यूँ मेरे इस मुल्क का हर शाब बापू ने

भुला सकते नहीं उनके कभी वो काम हम दिलबर
किए थे देश-हित में जो सभी नायाब बापू ने

  - DILBAR

More by DILBAR

As you were reading Shayari by DILBAR

Similar Writers

our suggestion based on DILBAR

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari