na aisi ab zara sii bhi khata ho
ki dil koii wajah meri dukha ho
raza mein teri main jeevan guzaaroon
na rishta koii shikvon se mera ho
na boloon bol main kadve kisi se
muhabbat hi mera bas raabta ho
basaaen milke ab ik aisi duniya
na ulfat kii jahaan par intiha ho
bhala manzil vo raahi paaye kaise
qadam do jo nahin ab tak chala ho
na phir vo dagmagata zindagi mein
khuda jis bhi bashar ka aasraa ho
hai duniya jhukti uske aage dilbar
nabi ke dar pe aakar jo jhuka ho
न ऐसी अब ज़रा सी भी ख़ता हो
कि दिल कोई वजह मेरी दुखा हो
रज़ा में तेरी मैं जीवन गुजारूँ
न रिश्ता कोई शिकवों से मेरा हो
न बोलूॅं बोल मैं कड़वे किसी से
मुहब्बत ही मेरा बस राबता हो
बसाऍं मिलके अब इक ऐसी दुनिया
न उल्फ़त की जहाँ पर इंतिहा हो
भला मंज़िल वो राही पाए कैसे
क़दम दो जो नहीं अब तक चला हो
न फिर वो डगमगाता ज़िन्दगी में
ख़ुदा जिस भी बशर का आसरा हो
है दुनिया झुकती उसके आगे दिलबर
नबी के दर पे आकर जो झुका हो
As you were reading Shayari by DILBAR
our suggestion based on DILBAR
As you were reading undefined Shayari