main jise odhta bichaata hoon
vo ghazal aap ko sunaata hoon
ek jungle hai teri aankhon mein
main jahaan raah bhool jaata hoon
tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharaata hoon
har taraf e'itraaz hota hai
main agar raushni mein aata hoon
ek baazu ukhad gaya jab se
aur ziyaada vazn uthaata hoon
main tujhe bhoolne ki koshish mein
aaj kitne qareeb paata hoon
kaun ye fasla nibhaaega
main farishta hoon sach bataata hoon
मैं जिसे ओढ़ता बिछाता हूँ
वो ग़ज़ल आप को सुनाता हूँ
एक जंगल है तेरी आँखों में
मैं जहाँ राह भूल जाता हूँ
तू किसी रेल सी गुज़रती है
मैं किसी पुल सा थरथराता हूँ
हर तरफ़ ए'तिराज़ होता है
मैं अगर रौशनी में आता हूँ
एक बाज़ू उखड़ गया जब से
और ज़ियादा वज़न उठाता हूँ
मैं तुझे भूलने की कोशिश में
आज कितने क़रीब पाता हूँ
कौन ये फ़ासला निभाएगा
मैं फ़रिश्ता हूँ सच बताता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dushyant Kumar
our suggestion based on Dushyant Kumar
As you were reading Sach Shayari Shayari