jab bhi khilwat mein vo yaad aayega
waqt ka sail thehar jaayega
chaand tum dekh rahe ho jis ko
ye bhi aansu sa dhalak jaayega
ek do mod hi mud kar insaan
baam-e-gardoon ki khabar laayega
main ne dekhe hain chaman be-parda
koi gul kya mere munh aayega
husn se door hi rahna behtar
jo milega wahi pachhtaayega
aur kuchh der sitaaro thehro
us ka w'ada hai zaroor aayega
un ki zulfon ki mahak le daanish
is dhundlake ko kahaan paayega
जब भी ख़ल्वत में वो याद आएगा
वक़्त का सैल ठहर जाएगा
चाँद तुम देख रहे हो जिस को
ये भी आँसू सा ढलक जाएगा
एक दो मोड़ ही मुड़ कर इंसाँ
बाम-ए-गर्दूं की ख़बर लाएगा
मैं ने देखे हैं चमन बे-पर्दा
कोई गुल क्या मिरे मुँह आएगा
हुस्न से दूर ही रहना बेहतर
जो मिलेगा वही पछताएगा
और कुछ देर सितारो ठहरो
उस का व'अदा है ज़रूर आएगा
उन की ज़ुल्फ़ों की महक ले 'दानिश'
इस धुँदलके को कहाँ पाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Insaan Shayari Shayari