nazar nazar ka fareb har soo
uthe to sehra pe phail jaaye
jhuke to ik gahri jheel
baadal-sifat ye barkha ki ek rim-jhim
jo pyaar ho to ye chaandni hai
nazar nazar ka fareb
lekin nazar haqeeqat
nazar jhapakne mein takht-e-bilqees saamne ho
nazar ke jaadu se jism patthar
nazar ke pur-taab noor se koh-e-toor-e-seena bhi reza reza
nazar nazar ka fareb
lekin nazar haqeeqat
mere hi taar-e-nazar se
dharti pe surmai chat tanee hui hai
नज़र नज़र का फ़रेब हर सू
उठे तो सहरा पे फैल जाए
झुके तो इक गहरी झील
बादल-सिफ़त ये बरखा की एक रिम-झिम
जो प्यार हो तो ये चाँदनी है
नज़र नज़र का फ़रेब
लेकिन नज़र हक़ीक़त
नज़र झपकने में तख़्त-ए-बिल्क़ीस सामने हो
नज़र के जादू से जिस्म पत्थर
नज़र के पुर-ताब नूर से कोह-ए-तूर-ए-सीना भी रेज़ा रेज़ा
नज़र नज़र का फ़रेब
लेकिन नज़र हक़ीक़त
मिरे ही तार-ए-नज़र से
धरती पे सुरमई छत तनी हुई है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ejaz Farooqi
As you were reading Taareef Shayari Shayari