tere jaisa koi mila hi nahin | तेरे जैसा कोई मिला ही नहीं - Fahmi Badayuni

tere jaisa koi mila hi nahin
kaise milta kahi pe tha hi nahin

ghar ke malbe se ghar bana hi nahin
zalzale ka asar gaya hi nahin

mujh pe ho kar guzar gai duniya
main tiri raah se hata hi nahin

kal se masroof-e-khairiyat main hoon
sher taaza koi hua hi nahin

raat bhi ham ne hi sadaarat ki
bazm mein aur koi tha hi nahin

yaar tum ko kahaan kahaan dhoonda
jaao tum se main bolta hi nahin

yaad hai jo usi ko yaad karo
hijr ki doosri dava hi nahin

तेरे जैसा कोई मिला ही नहीं
कैसे मिलता कहीं पे था ही नहीं

घर के मलबे से घर बना ही नहीं
ज़लज़ले का असर गया ही नहीं

मुझ पे हो कर गुज़र गई दुनिया
मैं तिरी राह से हटा ही नहीं

कल से मसरूफ़-ए-ख़ैरियत मैं हूँ
शेर ताज़ा कोई हुआ ही नहीं

रात भी हम ने ही सदारत की
बज़्म में और कोई था ही नहीं

यार तुम को कहाँ कहाँ ढूँडा
जाओ तुम से मैं बोलता ही नहीं

याद है जो उसी को याद करो
हिज्र की दूसरी दवा ही नहीं

- Fahmi Badayuni
5 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari