vo kahi tha kahi dikhaai diya | वो कहीं था कहीं दिखाई दिया

  - Fahmi Badayuni

vo kahi tha kahi dikhaai diya
main jahaan tha wahin dikhaai diya

khwaab mein ik haseen dikhaai diya
vo bhi parda-nasheen dikhaai diya

jab talak tu nahin dikhaai diya
ghar kahi ka kahi dikhaai diya

roz chehre ne aaine badle
jo nahin tha nahin dikhaai diya

bad-maza kyun hain aasmaan waale
main zameen tha zameen dikhaai diya

us ko le kar chali gai gaadi
phir hamein kuchh nahin dikhaai diya

वो कहीं था कहीं दिखाई दिया
मैं जहाँ था वहीं दिखाई दिया

ख़्वाब में इक हसीं दिखाई दिया
वो भी पर्दा-नशीं दिखाई दिया

जब तलक तू नहीं दिखाई दिया
घर कहीं का कहीं दिखाई दिया

रोज़ चेहरे ने आइने बदले
जो नहीं था नहीं दिखाई दिया

बद-मज़ा क्यूँ हैं आसमाँ वाले
मैं ज़मीं था ज़मीं दिखाई दिया

उस को ले कर चली गई गाड़ी
फिर हमें कुछ नहीं दिखाई दिया

  - Fahmi Badayuni

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari