kab tak dil ki khair manaae kab tak rah dikhlaaoge | कब तक दिल की ख़ैर मनाएँ कब तक रह दिखलाओगे

  - Faiz Ahmad Faiz

kab tak dil ki khair manaae kab tak rah dikhlaaoge
kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge

beeta deed ummeed ka mausam khaak udti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaaoge

ahad-e-wafaa ya tark-e-mohabbat jo chaaho so aap karo
apne bas ki baat hi kya hai ham se kya manvaaoge

kis ne vasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat dhali
gesuon waale kaun the kya the un ko kya jatlaaoge

faiz dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi loot jaana thi
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraaoge

कब तक दिल की ख़ैर मनाएँ कब तक रह दिखलाओगे
कब तक चैन की मोहलत दोगे कब तक याद न आओगे

बीता दीद उम्मीद का मौसम ख़ाक उड़ती है आँखों में
कब भेजोगे दर्द का बादल कब बरखा बरसाओगे

अहद-ए-वफ़ा या तर्क-ए-मोहब्बत जो चाहो सो आप करो
अपने बस की बात ही क्या है हम से क्या मनवाओगे

किस ने वस्ल का सूरज देखा किस पर हिज्र की रात ढली
गेसुओं वाले कौन थे क्या थे उन को क्या जतलाओगे

'फ़ैज़' दिलों के भाग में है घर भरना भी लुट जाना थी
तुम इस हुस्न के लुत्फ़-ओ-करम पर कितने दिन इतराओगे

  - Faiz Ahmad Faiz

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari