jaayenge kahaan sar pe jab aa jaayega suraj | जाएँगे कहाँ सर पे जब आ जाएगा सूरज - Fakhr Zaman

jaayenge kahaan sar pe jab aa jaayega suraj
vo log jo deewaar ke saaye mein khade hain

allah ye lamha to qayamat ki ghadi hai
insaan se insaan ke saaye bhi bade hain

har mod pe hain sar-b-falak qasr-numaayaan
har mod pe kashkol liye log khade hain

is darja giraani hai ki patthar nahin milte
qabron pe saleeben nahin insaan gadde hain

जाएँगे कहाँ सर पे जब आ जाएगा सूरज
वो लोग जो दीवार के साए में खड़े हैं

अल्लाह ये लम्हा तो क़यामत की घड़ी है
इंसान से इंसान के साए भी बड़े हैं

हर मोड़ पे हैं सर-ब-फ़लक क़स्र-नुमायाँ
हर मोड़ पे कश्कोल लिए लोग खड़े हैं

इस दर्जा गिरानी है कि पत्थर नहीं मिलते
क़ब्रों पे सलीबें नहीं इंसान गड़े हैं

- Fakhr Zaman
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhr Zaman

As you were reading Shayari by Fakhr Zaman

Similar Writers

our suggestion based on Fakhr Zaman

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari