vo pehle andhe kuein mein giraaye jaate hain | वो पहले अंधे कुएँ में गिराए जाते हैं

  - Fakhr Zaman

vo pehle andhe kuein mein giraaye jaate hain
jo sang sheeshe ke ghar mein sajaaye jaate hain

ajeeb rasm hai yaaro tumhaari mehfil mein
diye jalane se pehle bujaaye jaate hain

hamaari soch ne karvat ye kaisi badli hai
ham apni aag mein khud ko jalaae jaate hain

bada hi zor hai is baar meh ke qatron mein
ki pattharon pe bhi ghaav lagaaye jaate hain

naye tariq se barsaat ab ke aayi hai
ki log ret ke ghar bhi banaaye jaate hain

hamaari raakh se uthhega ik naya insaan
isee khayal se khud ko jalaae jaate hain

kisi shajar se koi saanp gir ke kaat na le
ham aaj aag saroon par uthaaye jaate hain

jo deep apne lahu se jalaae the ham ne
vo ek phoonk se un ko bujaaye jaate hain

hamaara jism hai saaye mein dhoop sar par hai
bade hunar se vo rozan banaaye jaate hain

kuchh aise fakhr chaman ka nizaam badla hai
baghair aab ke paude ugaae jaate hain

वो पहले अंधे कुएँ में गिराए जाते हैं
जो संग शीशे के घर में सजाए जाते हैं

अजीब रस्म है यारो तुम्हारी महफ़िल में
दिए जलाने से पहले बुझाए जाते हैं

हमारी सोच ने करवट ये कैसी बदली है
हम अपनी आग में ख़ुद को जलाए जाते हैं

बड़ा ही ज़ोर है इस बार मेंह के क़तरों में
कि पत्थरों पे भी घाव लगाए जाते हैं

नए तरीक़ से बरसात अब के आई है
कि लोग रेत के घर भी बनाए जाते हैं

हमारी राख से उट्ठेगा इक नया इंसाँ
इसी ख़याल से ख़ुद को जलाए जाते हैं

किसी शजर से कोई साँप गिर के काट न ले
हम आज आग सरों पर उठाए जाते हैं

जो दीप अपने लहू से जलाए थे हम ने
वो एक फूँक से उन को बुझाए जाते हैं

हमारा जिस्म है साए में धूप सर पर है
बड़े हुनर से वो रौज़न बनाए जाते हैं

कुछ ऐसे 'फ़ख़्र' चमन का निज़ाम बदला है
बग़ैर आब के पौदे उगाए जाते हैं

  - Fakhr Zaman

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhr Zaman

As you were reading Shayari by Fakhr Zaman

Similar Writers

our suggestion based on Fakhr Zaman

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari