tiri gali si kisi bhi gali ki shaan nahin
ki is zameen pe sunte hain aasmaan nahin
mizaa se badh ke nahin hai jo koi teer-e-haseen
tumhaare abroo se dilkash koi kamaan nahin
sisak rahe hain jo sadkon pe saikdon insaan
tumhaare shehar mein shaayad koi makaan nahin
yahin behisht hai yaaro yahin hai dozakh bhi
ki is jahaan se aage koi jahaan nahin
meri khamoshi ka matlab nahin qaraar-o-sukoon
bhara hai dard se dil taqat-e-bayaan nahin
adoo ko dete hain tarjeeh mujh se khaadim par
bure-bhale ke paree-vash mizaaj-daan nahin
hamaare shehar mein har ek is tarah chup hai
ki jaise munh mein kisi shakhs ke zabaan nahin
ye ashk manzil-e-aakhir hain ishq ki hamdam
ki in sitaaron se aage koi nishaan nahin
ho fakhr khaak mujhe qaum ki tarqqi par
jo fard-e-qoum ye mazdoor aur kisaan nahin
तिरी गली सी किसी भी गली की शान नहीं
कि इस ज़मीन पे सुनते हैं आसमान नहीं
मिज़ा से बढ़ के नहीं है जो कोई तीर-ए-हसीं
तुम्हारे अबरू से दिलकश कोई कमान नहीं
सिसक रहे हैं जो सड़कों पे सैंकड़ों इंसाँ
तुम्हारे शहर में शायद कोई मकान नहीं
यहीं बहिश्त है यारो यहीं है दोज़ख़ भी
कि इस जहान से आगे कोई जहान नहीं
मिरी ख़मोशी का मतलब नहीं क़रार-ओ-सुकूँ
भरा है दर्द से दिल ताक़त-ए-बयान नहीं
अदू को देते हैं तरजीह मुझ से ख़ादिम पर
बुरे-भले के परी-वश मिज़ाज-दान नहीं
हमारे शहर में हर एक इस तरह चुप है
कि जैसे मुँह में किसी शख़्स के ज़बान नहीं
ये अश्क मंज़िल-ए-आख़िर हैं इश्क़ की हमदम
कि इन सितारों से आगे कोई निशान नहीं
हो 'फ़ख़्र' ख़ाक मुझे क़ौम की तरक़्क़ी पर
जो फ़र्द-ए-क़ौम ये मज़दूर और किसान नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhr Zaman
our suggestion based on Fakhr Zaman
As you were reading Aah Shayari Shayari