jo dhoop ki taptee hui saanson se bachi soch | जो धूप की तपती हुई साँसों से बची सोच

  - Fakhr Zaman

jo dhoop ki taptee hui saanson se bachi soch
phir chaandni-raaton mein badi der jali soch

aaraam se ik lamha bhi jeena nahin mumkin
har waqt mere zehan mein rahti hai nayi soch

is shehar mein aata hai nazar har koi apna
awaaz kise doon mujhe rahti hai yahi soch

dukh-dard ka maara hi koi samjhega ham ko
ham tak na pahunch paayegi naazon ki pali soch

जो धूप की तपती हुई साँसों से बची सोच
फिर चाँदनी-रातों में बड़ी देर जली सोच

आराम से इक लम्हा भी जीना नहीं मुमकिन
हर वक़्त मिरे ज़ेहन में रहती है नई सोच

इस शहर में आता है नज़र हर कोई अपना
आवाज़ किसे दूँ मुझे रहती है यही सोच

दुख-दर्द का मारा ही कोई समझेगा हम को
हम तक न पहुँच पाएगी नाज़ों की पली सोच

  - Fakhr Zaman

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhr Zaman

As you were reading Shayari by Fakhr Zaman

Similar Writers

our suggestion based on Fakhr Zaman

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari