ham log to aakaas ki belon mein ghire hain | हम लोग तो आकास की बेलों में घिरे हैं

  - Fakhr Zaman

ham log to aakaas ki belon mein ghire hain
khush-bakht hain jo gulshan-e-hasti mein khile hain

is dhoop ki shiddat se nahin koi mafar ab
deewaar ke saaye mein bade log khade hain

kis kis ko dikhaate rahein jebon ke ye sooraakh
har mod par kashkol liye log khade hain

ik roz humeen honge ujaale ke payambar
ham log ki muddat se andhere mein pade hain

ye zeest kuchh aise hai ki uljhe hue dhaage
toote hue niklen jinhen samjhen ki sire hain

har roz koi taanka udhad jaata hai phir se
ham waqt ki sozan se kai baar sile hain

jab waqt pada dekhna de jaayenge dhoka
ye dost nahin fakhr sabhi kacche ghade hain

हम लोग तो आकास की बेलों में घिरे हैं
ख़ुश-बख़्त हैं जो गुलशन-ए-हस्ती में खिले हैं

इस धूप की शिद्दत से नहीं कोई मफ़र अब
दीवार के साए में बड़े लोग खड़े हैं

किस किस को दिखाते रहें जेबों के ये सूराख़
हर मोड़ पर कश्कोल लिए लोग खड़े हैं

इक रोज़ हमीं होंगे उजाले के पयम्बर
हम लोग कि मुद्दत से अँधेरे में पड़े हैं

ये ज़ीस्त कुछ ऐसे है कि उलझे हुए धागे
टूटे हुए निकलें जिन्हें समझें कि सिरे हैं

हर रोज़ कोई टाँका उधड़ जाता है फिर से
हम वक़्त की सोज़न से कई बार सिले हैं

जब वक़्त पड़ा देखना दे जाएँगे धोका
ये दोस्त नहीं 'फ़ख़्र' सभी कच्चे घड़े हैं

  - Fakhr Zaman

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhr Zaman

As you were reading Shayari by Fakhr Zaman

Similar Writers

our suggestion based on Fakhr Zaman

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari