koi milta nahin khuda ki tarah | कोई मिलता नहीं ख़ुदा की तरह - Fehmi Badayuni

koi milta nahin khuda ki tarah
firta rehta hoon main dua ki tarah

gham ta'aqub mein hain saza ki tarah
tu chhupa le mujhe khata ki tarah

hai mareezon mein tazkira mera
aazmaai hui dava ki tarah

ho raheen hain shahaadaten mujh mein
aur main chup hoon karbala ki tarah

jis ki khaatir charaagh banta hoon
ghurta hai wahi hawa ki tarah

waqt ke gumbadon mein rehta hoon
ek goonji hui sada ki tarah

कोई मिलता नहीं ख़ुदा की तरह
फिरता रहता हूँ मैं दुआ की तरह

ग़म तआक़ुब में हैं सज़ा की तरह
तू छुपा ले मुझे ख़ता की तरह

है मरीज़ों में तज़्किरा मेरा
आज़माई हुई दवा की तरह

हो रहीं हैं शहादतें मुझ में
और मैं चुप हूँ कर्बला की तरह

जिस की ख़ातिर चराग़ बनता हूँ
घूरता है वही हवा की तरह

वक़्त के गुम्बदों में रहता हूँ
एक गूँजी हुई सदा की तरह

- Fehmi Badayuni
3 Likes

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fehmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fehmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fehmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari