main nadi hoon aur mujhe fakhr hai is baat ka ki main nadi hoon | मैं नदी हूँ और मुझे फ़ख़्र है इस बात का कि मैं नदी हूँ

  - Geetanjali Rai

main nadi hoon aur mujhe fakhr hai is baat ka ki main nadi hoon
chalte rahna meri aadat hai
apne raaste khud banaana aata hai mujhe aur achha bhi lagta hai
main nahin chahti ki koi ek dayra kheench ke bata de mujhe
ki ab ta-umr mujhe yahin rahna hai
ek chhota sa gol sa mahfooz dayra
jahaan na mujhe pattharon se takraana hoga
na hi apne vujood ko qaaim rakhne ke liye roz roz jang ladni hogi
mera vujood sirf paani se nahin bana
meri aazaadi meri himmat aur mera junoon
ye sab mil ke banaate hain mujhe aur ma'aloom hai mujhe
ki har-pal har lamha
main us manzil ki taraf badh rahi hoon
jahaan maut ko intizaar hai mera
phir bhi main dheere nahin chalna chahti hoon
balki lamha-dar-lamha meri raftaar badhti ja rahi hai

मैं नदी हूँ और मुझे फ़ख़्र है इस बात का कि मैं नदी हूँ
चलते रहना मेरी आदत है
अपने रास्ते ख़ुद बनाना आता है मुझे और अच्छा भी लगता है
मैं नहीं चाहती कि कोई एक दायरा खींच के बता दे मुझे
कि अब ता-उम्र मुझे यहीं रहना है
एक छोटा सा गोल सा महफ़ूज़ दायरा
जहाँ ना मुझे पत्थरों से टकराना होगा
ना ही अपने वजूद को क़ाएम रखने के लिए रोज़ रोज़ जंग लड़नी होगी
मेरा वजूद सिर्फ़ पानी से नहीं बना
मेरी आज़ादी मेरी हिम्मत और मेरा जुनून
ये सब मिल के बनाते हैं मुझे और मा'लूम है मुझे
कि हर-पल हर लम्हा
मैं उस मंज़िल की तरफ़ बढ़ रही हूँ
जहाँ मौत को इंतिज़ार है मेरा
फिर भी मैं धीरे नहीं चलना चाहती हूँ
बल्कि लम्हा-दर-लम्हा मेरी रफ़्तार बढ़ती जा रही है

  - Geetanjali Rai

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Geetanjali Rai

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari