sifaarish ki zaroorat hi na hoti
nawaazish ki zaroorat hi na hoti
agar aata hamein haq cheen lena
guzarish ki zaroorat hi na hoti
agar sukhe kuein shabnam se bharte
to baarish ki zaroorat hi na hoti
nahin aate agar duniya mein ham to
rihaaish ki zaroorat hi na hoti
haseenon ka jo hota husn saada
numaish ki zaroorat hi na hoti
agar hota na shauq-e-khud-sanaai
sataish ki zaroorat hi na hoti
siyaasat-daan jo tab'ii maut marte
to saazish ki zaroorat hi na hoti
agar tum khwaah-makhaah karte qanaat
to khwaahish ki zaroorat hi na hoti
सिफ़ारिश की ज़रूरत ही न होती
नवाज़िश की ज़रूरत ही न होती
अगर आता हमें हक़ छीन लेना
गुज़ारिश की ज़रूरत ही न होती
अगर सूखे कुएँ शबनम से भरते
तो बारिश की ज़रूरत ही न होती
नहीं आते अगर दुनिया में हम तो
रिहाइश की ज़रूरत ही न होती
हसीनों का जो होता हुस्न सादा
नुमाइश की ज़रूरत ही न होती
अगर होता न शौक़-ए-ख़ुद-सनाई
सताइश की ज़रूरत ही न होती
सियासत-दाँ जो तब्ई मौत मरते
तो साज़िश की ज़रूरत ही न होती
अगर तुम 'ख़्वाह-मख़ाह' करते क़नाअत
तो ख़्वाहिश की ज़रूरत ही न होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghaus Khah makhah Hyderabadi
our suggestion based on Ghaus Khah makhah Hyderabadi
As you were reading Duniya Shayari Shayari