pehle pehle shauhar ko har mausam bheega lagta hai | पहले पहले शौहर को हर मौसम भीगा लगता है

  - Ghaus Khah makhah Hyderabadi

pehle pehle shauhar ko har mausam bheega lagta hai
yun samjho billi ke bhaagon toota cheeka lagta hai

feeka lanch aur dinner bhi umda aur teekhaa lagta hai
naqli tel mein tala samosa asli ghee ka lagta hai

shaadi ek chyuingum hai jo pehle meetha lagta hai
phir munh mein jitna ghologe utna feeka lagta hai

aqd hua jab mera us dam koi cheenka lagta hai
aaine mein mera chehra aur kisi ka lagta hai

mehfil mein jab ghura un ko ek saheli yun boli
biwi ko takta rehta hai mua na-deeda lagta hai

khwaah-makhaah na mera hi na aur kisi ka lagta hai
jitne shauhar baithe hain ye haal sabhi ka lagta hai

पहले पहले शौहर को हर मौसम भीगा लगता है
यूँ समझो बिल्ली के भागों टूटा छीका लगता है

फीका लंच और डिनर भी उम्दा और तीखा लगता है
नक़ली तेल में तला समोसा असली घी का लगता है

शादी एक च्युइंगम है जो पहले मीठा लगता है
फिर मुँह में जितना घोलोगे उतना फीका लगता है

अक़द हुआ जब मेरा उस दम कोई छींका लगता है
आईने में मेरा चेहरा और किसी का लगता है

महफ़िल में जब घूरा उन को एक सहेली यूँ बोली
बीवी को तकता रहता है मुआ न-दीदा लगता है

'ख़्वाह-मख़ाह' न मेरा ही न और किसी का लगता है
जितने शौहर बैठे हैं ये हाल सभी का लगता है

  - Ghaus Khah makhah Hyderabadi

Aurat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghaus Khah makhah Hyderabadi

As you were reading Shayari by Ghaus Khah makhah Hyderabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ghaus Khah makhah Hyderabadi

Similar Moods

As you were reading Aurat Shayari Shayari