dil hi dil mein dard ke aise ishaare ho gaye
gham zamaane ke shareek-e-gham hamaare ho gaye
jo abhi mahfooz hain tanqeed hai un ka shi'aar
haal un ka poochiye jo be-sahaare ho gaye
bin khile murjha gaeein kaliyaan chaman mein kis qadar
zard-roo kis darja haaye maah-paare ho gaye
amn ki taqat ko kuchla sach ko rusva kar diya
dushmanon ke chaar-din mein waare-nyaare ho gaye
ye zamaana kis qadar baar-e-garaan saabit hua
apne begaane hue begaane pyaare ho gaye
dushman-e-deen dushman-e-jaan dushman-e-amn-o-sukoon
ek do ka zikr kya saare ke saare ho gaye
doobne waalon se zaaid kha raha hai un ka gham
jin ko saahil tegh-e-uryaan ke kinaare ho gaye
ashk-e-gham mein noor-e-rahmat is tarah shaamil raha
chaand-taaron se siva ye chaand-taare ho gaye
haif gulzaar-e-jahaan mein chha gai gham ki ghatta
jo shagoofe the chaman mein vo sharaare ho gaye
दिल ही दिल में दर्द के ऐसे इशारे हो गए
ग़म ज़माने के शरीक-ए-ग़म हमारे हो गए
जो अभी महफ़ूज़ हैं तन्क़ीद है उन का शिआ'र
हाल उन का पूछिए जो बे-सहारे हो गए
बिन खिले मुरझा गईं कलियाँ चमन में किस क़दर
ज़र्द-रू किस दर्जा हाए माह-पारे हो गए
अम्न की ताक़त को कुचला सच को रुस्वा कर दिया
दुश्मनों के चार-दिन में वारे-न्यारे हो गए
ये ज़माना किस क़दर बार-ए-गराँ साबित हुआ
अपने बेगाने हुए बेगाने प्यारे हो गए
दुश्मन-ए-दीं दुश्मन-ए-जाँ दुश्मन-ए-अम्न-ओ-सुकूँ
एक दो का ज़िक्र क्या सारे के सारे हो गए
डूबने वालों से ज़ाइद खा रहा है उन का ग़म
जिन को साहिल तेग़-ए-उर्यां के किनारे हो गए
अश्क-ए-ग़म में नूर-ए-रहमत इस तरह शामिल रहा
चाँद-तारों से सिवा ये चाँद-तारे हो गए
हैफ़ गुलज़ार-ए-जहाँ में छा गई ग़म की घटा
जो शगूफ़े थे चमन में वो शरारे हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar Dehlvi
our suggestion based on Gulzar Dehlvi
As you were reading Environment Shayari Shayari