jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai
vo khush-mizaj hai lekin khafa bhi hota hai
vo bhool baithe nasha kar ke apni daulat ka
nasha koi bhi ho ik din hua bhi hota hai
kabhi kabhi hi sahi jeb bhari hoti hai
kabhi kabhi to ye banda khuda bhi hota hai
main is haseen ko ye baat kaise samjhaaoon
jo behtareen hai us se siva bhi hota hai
tumhaari baat ka main ne bura kahaan maana
jo apna hota hai us se gila bhi hota hai
kisi mareez se kehna ki aap achhe hain
ye baat kehne ka matlab dava bhi hota hai
ye baat mere siva jaanta nahin koi
ki us ki baat mein gahra nasha bhi hota hai
kabhi jo gaaliyaan de maa to ye samajh lena
ki us ki gaali ka matlab dua bhi hota hai
जो मिलने आता है मिल कर जुदा भी होता है
वो ख़ुश-मिज़ाज है लेकिन ख़फ़ा भी होता है
वो भूल बैठे नशा कर के अपनी दौलत का
नशा कोई भी हो इक दिन हुआ भी होता है
कभी कभी ही सही जेब भारी होती है
कभी कभी तो ये बंदा ख़ुदा भी होता है
मैं इस हसीन को ये बात कैसे समझाऊँ
जो बेहतरीन है उस से सिवा भी होता है
तुम्हारी बात का मैं ने बुरा कहाँ माना
जो अपना होता है उस से गिला भी होता है
किसी मरीज़ से कहना कि आप अच्छे हैं
ये बात कहने का मतलब दवा भी होता है
ये बात मेरे सिवा जानता नहीं कोई
कि उस की बात में गहरा नशा भी होता है
कभी जो गालियाँ दे माँ तो ये समझ लेना
कि उस की गाली का मतलब दुआ भी होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Kaifi
our suggestion based on Habeeb Kaifi
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari