apnon ne vo ranj diye hain begaane yaad aate hain | अपनों ने वो रंज दिए हैं बेगाने याद आते हैं

  - Habib Jalib

apnon ne vo ranj diye hain begaane yaad aate hain
dekh ke us basti ki haalat veeraane yaad aate hain

us nagri mein qadam qadam pe sar ko jhukaana padta hai
us nagri mein qadam qadam par but-khaane yaad aate hain

aankhen pur-nam ho jaati hain gurbat ke seharaaon mein
jab us rim-jhim ki waadi ke afsaane yaad aate hain

aise aise dard mile hain naye dayaaron mein ham ko
bichhde hue kuchh log purane yaaraane yaad aate hain

jin ke kaaran aaj hamaare haal pe duniya hasti hai
kitne zalim chehre jaane pahchaane yaad aate hain

yun na luti thi galiyon daulat apne ashkon ki
rote hain to ham ko apne gham-khaane yaad aate hain

koi to parcham le kar nikle apne garebaan ka jaalib
chaaron jaanib sannaata hai deewane yaad aate hain

अपनों ने वो रंज दिए हैं बेगाने याद आते हैं
देख के उस बस्ती की हालत वीराने याद आते हैं

उस नगरी में क़दम क़दम पे सर को झुकाना पड़ता है
उस नगरी में क़दम क़दम पर बुत-ख़ाने याद आते हैं

आँखें पुर-नम हो जाती हैं ग़ुर्बत के सहराओं में
जब उस रिम-झिम की वादी के अफ़्साने याद आते हैं

ऐसे ऐसे दर्द मिले हैं नए दयारों में हम को
बिछड़े हुए कुछ लोग पुराने याराने याद आते हैं

जिन के कारन आज हमारे हाल पे दुनिया हस्ती है
कितने ज़ालिम चेहरे जाने पहचाने याद आते हैं

यूँ न लुटी थी गलियों दौलत अपने अश्कों की
रोते हैं तो हम को अपने ग़म-ख़ाने याद आते हैं

कोई तो परचम ले कर निकले अपने गरेबाँ का 'जालिब'
चारों जानिब सन्नाटा है दीवाने याद आते हैं

  - Habib Jalib

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari