dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain | दिल की बात लबों पर ला कर अब तक हम दुख सहते हैं - Habib Jalib

dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain
hum ne suna tha is basti mein dil waale bhi rahte hain

beet gaya saawan ka mahina mausam ne nazrein badlein
lekin in pyaasi aankhon se ab tak aansu bahte hain

ek humein aawaara kehna koi bada ilzaam nahin
duniya waale dil waalon ko aur bahut kuch kahte hain

jin ki khaatir shehar bhi chhodaa jin ke liye badnaam hue
aaj wahi hum se begaane begaane se rahte hain

vo jo abhi is raahguzar se chaak-garebaan guzra tha
us aawaara deewane ko jaalib jaalib kahte hain

दिल की बात लबों पर ला कर अब तक हम दुख सहते हैं
हम ने सुना था इस बस्ती में दिल वाले भी रहते हैं

बीत गया सावन का महीना मौसम ने नज़रें बदलीं
लेकिन इन प्यासी आँखों से अब तक आँसू बहते हैं

एक हमें आवारा कहना कोई बड़ा इल्ज़ाम नहीं
दुनिया वाले दिल वालों को और बहुत कुछ कहते हैं

जिन की ख़ातिर शहर भी छोड़ा जिन के लिए बदनाम हुए
आज वही हम से बेगाने बेगाने से रहते हैं

वो जो अभी इस राहगुज़र से चाक-गरेबाँ गुज़रा था
उस आवारा दीवाने को 'जालिब' 'जालिब' कहते हैं

- Habib Jalib
1 Like

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari