layal-pur ik shehar hai jis mein dil hai mera aabaad
dhadkan dhadkan saath rahegi us basti ki yaad
meethe bolon ki vo nagri geeton ka sansaar
haste-baste haaye vo raaste naghma-rez dayaar
vo galiyaan vo phool vo kaliyaan rang-bhare bazaar
main ne un galiyon phoolon kaliyon se kiya hai pyaar
barg-e-aawara mein bikhri hai jis ki roodaad
layal-pur ik shehar hai jis mein dil hai mera aabaad
koi nahin tha kaam mujhe phir bhi tha kitna kaam
un galiyon mein firte rahna din ko karna shaam
ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar mein badnaam
raaton ko dahleezon pe hi kar lena aaraam
dukh sahne mein chup rahne mein dil tha kitna shaad
layal-pur ik shehar hai jis mein dil hai mera aabaad
main ne us nagri rah kar kya kya geet likhe
jin ke kaaran logon ke man mein hai meri preet
ek lagan ki baat hai jeevan kaisi haar aur jeet
sab se mujh ko pyaar hai jaalib sab hain mere meet
daad to un ki yaad hai mujh ko bhool gaya be-daad
layal poor ik shehar hai jis mein dil hai mera aabaad
लायल-पूर इक शहर है जिस में दिल है मिरा आबाद
धड़कन धड़कन साथ रहेगी उस बस्ती की याद
मीठे बोलों की वो नगरी गीतों का संसार
हँसते-बसते हाए वो रस्ते नग़्मा-रेज़ दयार
वो गलियाँ वो फूल वो कलियाँ रंग-भरे बाज़ार
मैं ने उन गलियों फूलों कलियों से किया है प्यार
बर्ग-ए-आवारा में बिखरी है जिस की रूदाद
लायल-पूर इक शहर है जिस में दिल है मिरा आबाद
कोई नहीं था काम मुझे फिर भी था कितना काम
उन गलियों में फिरते रहना दिन को करना शाम
घर घर मेरे शेर के चर्चे घर घर में बदनाम
रातों को दहलीज़ों पे ही कर लेना आराम
दुख सहने में चुप रहने में दिल था कितना शाद
लायल-पूर इक शहर है जिस में दिल है मिरा आबाद
मैं ने उस नगरी रह कर क्या क्या गीत लिखे
जिन के कारन लोगों के मन में है मेरी प्रीत
एक लगन की बात है जीवन कैसी हार और जीत
सब से मुझ को प्यार है 'जालिब' सब हैं मेरे मीत
दाद तो उन की याद है मुझ को भूल गया बे-दाद
लायल पूर इक शहर है जिस में दिल है मिरा आबाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading I Miss you Shayari Shayari