faiz aur faiz ka gham bhoolne waala hai kahi | फ़ैज़' और 'फ़ैज़' का ग़म भूलने वाला है कहीं - Habib Jalib

faiz aur faiz ka gham bhoolne waala hai kahi
maut ye tera sitam bhoolne waala hai kahi

hum se jis waqt ne vo shaah-e-sukhan cheen liya
hum ko vo waqt-e-alam bhoolne waala hai kahi

tire ashk aur bhi chamkaayeingi yaadein us ki
hum ko vo deeda-e-nam bhoolne waala hai kahi

kabhi zindaan mein kabhi door watan se ai dost
jo kiya us ne raqam bhoolne waala hai kahi

aakhiri baar use dekh na paaye jaalib
ye muqaddar ka sitam bhoolne waala hai kahi

फ़ैज़' और 'फ़ैज़' का ग़म भूलने वाला है कहीं
मौत ये तेरा सितम भूलने वाला है कहीं

हम से जिस वक़्त ने वो शाह-ए-सुख़न छीन लिया
हम को वो वक़्त-ए-अलम भूलने वाला है कहीं

तिरे अश्क और भी चमकाएँगी यादें उस की
हम को वो दीदा-ए-नम भूलने वाला है कहीं

कभी ज़िंदाँ में कभी दूर वतन से ऐ दोस्त
जो किया उस ने रक़म भूलने वाला है कहीं

आख़िरी बार उसे देख न पाए 'जालिब'
ये मुक़द्दर का सितम भूलने वाला है कहीं

- Habib Jalib
0 Likes

Patriotic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Patriotic Shayari Shayari