pooch na kya lahore mein dekha ham ne miyaan-'nazeer
pahnein suit angrezee bolein aur kahlaayein meer
chaudhariyon ki mutthi mein hai sha'ir ki taqdeer
roye bhagat kabeer
ik-dooje ko jaahil samjhen nat-khat buddhivaan
metro mein jo chaai pilaaye bas vo baap samaan
sab se achha sha'ir vo hai jis ka yaar mudeer
roye bhagat kabeer
sadkon par bhooke firte hain sha'ir moosiqar
actresses ke baap liye firte hain motor-car
film-nagar tak aa pahunchen hain sayyad peer faqeer
roye bhagat kabeer
laal-deen ki kothee dekhi rang bhi jis ka laal
shehar mein rah kar khoob udaaye dahqaanon ka maal
aur kahe ajdaad ne bakshi mujh ko ye jaageer
roye bhagat kabeer
jis ko dekho lider hai aur se milo wakeel
kisi tarah bharta hi nahin hai pet hai un ka jheel
majbooran sunna padti hai un sab ki taqdeer
roye bhagat kabeer
mehfil se jo uth kar jaaye kahlaaye vo bor
apni masjid ki taarifein baaki joote-chor
apna jhang bhala hai pyaare jahaan hamaari heer
roye bhagat kabeer
पूछ न क्या लाहौर में देखा हम ने मियाँ-'नज़ीर'
पहनें सूट अंग्रेज़ी बोलें और कहलाएँ 'मीर'
चौधरियों की मुट्ठी में है शाइ'र की तक़दीर
रोए भगत कबीर
इक-दूजे को जाहिल समझें नट-खट बुद्धीवान
मेट्रो में जो चाय पिलाए बस वो बाप समान
सब से अच्छा शाइ'र वो है जिस का यार मुदीर
रोए भगत कबीर
सड़कों पर भूके फिरते हैं शाइ'र मूसीक़ार
एक्ट्रसों के बाप लिए फिरते हैं मोटर-कार
फ़िल्म-नगर तक आ पहुँचे हैं सय्यद पीर फ़क़ीर
रोए भगत कबीर
लाल-दीन की कोठी देखी रंग भी जिस का लाल
शहर में रह कर ख़ूब उड़ाए दहक़ानों का माल
और कहे अज्दाद ने बख़्शी मुझ को ये जागीर
रोए भगत कबीर
जिस को देखो लीडर है और से मिलो वकील
किसी तरह भरता ही नहीं है पेट है उन का झील
मजबूरन सुनना पड़ती है उन सब की तक़दीर
रोए भगत कबीर
महफ़िल से जो उठ कर जाए कहलाए वो बोर
अपनी मस्जिद की तारीफ़ें बाक़ी जूते-चोर
अपना झंग भला है प्यारे जहाँ हमारी हीर
रोए भगत कबीर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Gaon Shayari Shayari