nargis pe to ilzaam laga be-basri ka
arbab-e-gulistaan pe nahin kam-nazri ka
taufiq-e-rifaqat nahin un ko sar-e-manzil
raaste mein jinhen paas raha ham-safari ka
ab khaanka o madrasa o may-kada hain ek
ik silsila hai qaafila-e-be-khabari ka
har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamaasha
duniya hai ki haasil meri hairaan-nazri ka
ab farsh se ta-arsh zaboon-haal hai fitrat
ik m'arka dar-pesh hai azm-e-bashri ka
kab milti hai ye daulat-e-bedaar kisi ko
aur main hoon ki rona hai isee deeda-wari ka
be-vaasta-e-ishq bhi rang-e-rukh-e-parwez
unwaan hai farhaad ki khooni-jigari ka
aakhir tire dar pe mujhe le aayi mohabbat
dekha na gaya haal meri dar-badri ka
dil mein ho faqat tum hi tum aankhon pe na jaao
aankhon ko to hai rog pareshaan-nazri ka
be-pairavi-e-'meer hafiz apni ravish hai
ham par koi ilzaam nahin kam-hunri ka
नर्गिस पे तो इल्ज़ाम लगा बे-बसरी का
अरबाब-ए-गुलिस्ताँ पे नहीं कम-नज़री का
तौफ़ीक़-ए-रिफ़ाक़त नहीं उन को सर-ए-मंज़िल
रस्ते में जिन्हें पास रहा हम-सफ़री का
अब ख़ानका ओ मदरसा ओ मय-कदा हैं एक
इक सिलसिला है क़ाफ़िला-ए-बे-ख़बरी का
हर नक़्श है आईना-ए-नैरंग-ए-तमाशा
दुनिया है कि हासिल मिरी हैराँ-नज़री का
अब फ़र्श से ता-अर्श ज़बूँ-हाल है फ़ितरत
इक म'अरका दर-पेश है अज़्म-ए-बशरी का
कब मिलती है ये दौलत-ए-बेदार किसी को
और मैं हूँ कि रोना है इसी दीदा-वरी का
बे-वासता-ए-इश्क़ भी रंग-ए-रुख़-ए-परवेज़
उनवान है फ़रहाद की ख़ूनीं-जिगरी का
आख़िर तिरे दर पे मुझे ले आई मोहब्बत
देखा न गया हाल मिरी दर-बदरी का
दिल में हो फ़क़त तुम ही तुम आँखों पे न जाओ
आँखों को तो है रोग परेशाँ-नज़री का
बे-पैरवी-ए-'मीर' 'हफ़ीज़' अपनी रविश है
हम पर कोई इल्ज़ाम नहीं कम-हुनरी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Hoshiarpuri
our suggestion based on Hafeez Hoshiarpuri
As you were reading Anjam Shayari Shayari