phir se aaraaish-e-hasti ke jo saamaan honge | फिर से आराइश-ए-हस्ती के जो सामाँ होंगे - Hafeez Hoshiarpuri

phir se aaraaish-e-hasti ke jo saamaan honge
tere jalvo hi se aabaad shabistaan honge

ishq ki manzil-e-awwal pe thehrne waalo
is se aage bhi kai dasht-o-bayaabaan honge

tu jahaan jaayegi gaarat-gar-e-hasti ban kar
hum bhi ab saath tire gardish-e-dauraan honge

kis qadar sakht hai ye tark-o-talab ki manzil
ab kabhi un se mile bhi to pashemaan honge

tere jalvo se jo mahroom rahe hain ab tak
wahi aakhir tire jalvo ke nigahbaan honge

ab to majboor hain par hashr ka din aane de
tujh se insaaf-talab roo-e-gurezaan honge

jab kabhi hum ne kiya ishq pashemaan hue
zindagi hai to abhi aur pashemaan honge

koi bhi gham ho gham-e-dil ki gham-e-dehr hafiz
hum b-har-haal b-har-rang ghazal-khwaan honge

फिर से आराइश-ए-हस्ती के जो सामाँ होंगे
तेरे जल्वों ही से आबाद शबिस्ताँ होंगे

इश्क़ की मंज़िल-ए-अव्वल पे ठहरने वालो
इस से आगे भी कई दश्त-ओ-बयाबाँ होंगे

तू जहाँ जाएगी ग़ारत-गर-ए-हस्ती बन कर
हम भी अब साथ तिरे गर्दिश-ए-दौराँ होंगे

किस क़दर सख़्त है ये तर्क-ओ-तलब की मंज़िल
अब कभी उन से मिले भी तो पशेमाँ होंगे

तेरे जल्वों से जो महरूम रहे हैं अब तक
वही आख़िर तिरे जल्वों के निगहबाँ होंगे

अब तो मजबूर हैं पर हश्र का दिन आने दे
तुझ से इंसाफ़-तलब रू-ए-गुरेज़ाँ होंगे

जब कभी हम ने किया इश्क़ पशेमान हुए
ज़िंदगी है तो अभी और पशेमाँ होंगे

कोई भी ग़म हो ग़म-ए-दिल कि ग़म-ए-दहर 'हफ़ीज़'
हम ब-हर-हाल ब-हर-रंग ग़ज़ल-ख़्वाँ होंगे

- Hafeez Hoshiarpuri
0 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Hoshiarpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Hoshiarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Hoshiarpuri

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari