ishq ne aql ko deewaana bana rakha hai | इश्क़ ने अक़्ल को दीवाना बना रक्खा है

  - Hafeez Jalandhari

ishq ne aql ko deewaana bana rakha hai
zulf-e-anjaam ki uljhan mein phansa rakha hai

uth ke baaleen se mere dafn ki tadbeer karo
nabz kya dekhte ho nabz mein kya rakha hai

meri qismat ke navishte ko mita de koi
mujh ko qismat ke navishte ne mita rakha hai

aap betaab-e-numaish na karein jalvo ko
ham ne deedaar qayamat pe utha rakha hai

vo na aaye na sahi maut to aayegi hafiz
sabr kar sabr tira kaam hua rakha hai

इश्क़ ने अक़्ल को दीवाना बना रक्खा है
ज़ुल्फ़-ए-अंजाम की उलझन में फँसा रक्खा है

उठ के बालीं से मिरे दफ़्न की तदबीर करो
नब्ज़ क्या देखते हो नब्ज़ में क्या रक्खा है

मेरी क़िस्मत के नविश्ते को मिटा दे कोई
मुझ को क़िस्मत के नविश्ते ने मिटा रक्खा है

आप बेताब-ए-नुमाइश न करें जल्वों को
हम ने दीदार क़यामत पे उठा रक्खा है

वो न आए न सही मौत तो आएगी 'हफ़ीज़'
सब्र कर सब्र तिरा काम हुआ रक्खा है

  - Hafeez Jalandhari

Sabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Sabr Shayari Shayari