kabhi zameen pe kabhi aasmaan pe chhaaye ja | कभी ज़मीं पे कभी आसमाँ पे छाए जा - Hafeez Jalandhari

kabhi zameen pe kabhi aasmaan pe chhaaye ja
ujaadne ke liye bastiyaan basaaye ja

khizr ka saath diye ja qadam badhaaye ja
fareb khaaye hue ka fareb khaaye ja

tiri nazar mein sitaare hain ai mere pyaare
udaaye ja tah-e-aflaak khaak udaaye ja

nahin itaab-e-zamaana khitaab ke qaabil
tira jawaab yahi hai ki muskuraaye ja

anaadiyon se tujhe khelna pada ai dost
sujha sujha ke nayi chaal maat khaaye ja

sharaab khum se diye ja nasha tabassum se
kabhi nazar se kabhi jaam se pilaaye ja

कभी ज़मीं पे कभी आसमाँ पे छाए जा
उजाड़ने के लिए बस्तियाँ बसाए जा

ख़िज़र का साथ दिए जा क़दम बढ़ाए जा
फ़रेब खाए हुए का फ़रेब खाए जा

तिरी नज़र में सितारे हैं ऐ मिरे प्यारे
उड़ाए जा तह-ए-अफ़्लाक ख़ाक उड़ाए जा

नहीं इताब-ए-ज़माना ख़िताब के क़ाबिल
तिरा जवाब यही है कि मुस्कुराए जा

अनाड़ियों से तुझे खेलना पड़ा ऐ दोस्त
सुझा सुझा के नई चाल मात खाए जा

शराब ख़ुम से दिए जा नशा तबस्सुम से
कभी नज़र से कभी जाम से पिलाए जा

- Hafeez Jalandhari
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari