yahi hai sirf kaarobaar uska
bante hai shehar bhar mein pyaar uska
bakhoobi hai pata har chaal ham ko
yaqeen phir bhi hamein hai yaar uska
kisi ka dil dukhaati hi nahin vo
tabhi mashhoor hai qirdaar uska
mujhe vo hamsafar kaise banaaye
ziyaada sakht hai parivaar uska
mujhe maaloom hai main hi nahin hoon
yahan har shakhs hai fankaar uska
dupatta odhna hai bas use to
qayaamat hai yahi shrungaar uska
यही है सिर्फ़ कारोबार उसका
बँटे है शहर भर में प्यार उसका
बख़ूबी है पता हर चाल हम को
यक़ीं फिर भी हमें है यार उसका
किसी का दिल दुखाती ही नहीं वो
तभी मशहूर है क़िरदार उसका
मुझे वो हमसफ़र कैसे बनाये
ज़ियादा सख़्त है परिवार उसका
मुझे मालूम है मैं ही नहीं हूँ
यहाँ हर शख़्स है फ़नकार उसका
दुपट्टा ओढ़ना है बस उसे तो
क़यामत है यही श्रृंगार उसका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh saxena
our suggestion based on Harsh saxena
As you were reading Dosti Shayari Shayari