dil dukhe jisse vo kaam mat kar
naam ko yaar badnaam mat kar
de raha hoon tujhe main qasam ye
aaj se tu bura-kaam mat kar
be-libaasi bahut hi buri hai
to bura tu khule aam mat kar
saadgi mein tujhe dekhna hai
iske ulta naya-kaam mat kar
ye kahin ka nahin chhodta hai
isliye yaar aaraam mat kar
aaj se kaam apne tu khud kar
har samay raam ghanshyaam mat kar
bhool jaayen sabhi kaun hai tu
is qadar khud ko gumnaam mat kar
yaar apnon ka dil toot jaaye
khud ko itna bhi khud-kaam mat kar
दिल दुखे जिससे वो काम मत कर
नाम को यार बदनाम मत कर
दे रहा हूँ तुझे मैं क़सम ये
आज से तू बुरा-काम मत कर
बे-लिबासी बहुत ही बुरी है
तो बुरा तू खुले आम मत कर
सादगी में तुझे देखना है
इसके उल्टा नया-काम मत कर
ये कहीं का नहीं छोड़ता है
इसलिए यार आराम मत कर
आज से काम अपने तू ख़ुद कर
हर समय राम घनश्याम मत कर
भूल जाएँ सभी कौन है तू
इस क़दर ख़ुद को गुमनाम मत कर
यार अपनों का दिल टूट जाए
ख़ुद को इतना भी ख़ुद-काम मत कर
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari