tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere liye nahin apne liye | तुझ से जो मैं ने प्यार किया है तेरे लिए? नहीं अपने लिए

  - Ibn E Insha

tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere liye nahin apne liye
waqt ki be-unwaan kahaani kab tak be-unwaan rahe
ai mere soch-nagar ki raani ai mere khuld-e-khyaal ki hoor
itne dinon jo main ghulta raha hoon tere bina yoonhi door hi door
soch to kya fal mujh ko mila main man se gaya phir tan se gaya
shehar-e-watan mein ajnabi thehra aakhir shehar-e-watan se gaya
rooh ki pyaas bujhaani thi par yahan honton ki pyaas bhi bujh na saki
bachte sambhalte bhi ek sulagta rog bani mere jee ki lagi
door ki baat na soch abhi mere haath mein tu zara haath to de
tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere liye nahin apne liye
baagh mein hai ik belee ka takhta bheenee hai is belee ki sugandh
ai kaliyo kyun itne dinon tum rakhe raheen ise god mein band
kitne hi ham se roop ke rasiya aaye yahan aur chal bhi diye
tum ho ki itne husn ke hote ek na daaman thaam sake
sehan-e-chaman par bhaunroń ke baadal ek hi pal ko chhaayenge
phir na vo ja kar laut sakenge phir na vo ja kar aayenge
ai mere soch-nagar ki raani waqt ki baatein rang aur boo
har koi saath kisi ka dhunde gul hon ki belee main hoon ki tu
jo kuchh kehna hai abhi kah le jo kuchh sunna hai sun le
tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere liye nahin apne liye

dil ki na poocho kya kuchh chahe dil ka to faila hai daaman
geet se gaal ghazal si aankhen saad-e-seemeen barg-e-dahan
jude ke inheen phoolon ko dekho kal ki si in mein baas kahaan
ek ik taara kar ke doobi maathe ki tannaaz afshaan
sahne ka dukh sah na sake ham kehne ki baatein kah na sake
paas tire kabhi aa na sake ham door bhi tujh se rah na sake
kis se kahe ab rooh ki bipata kis ko sunaaye man ki baat
door ki raah bhatkata raahi jeevan-raat ghaneeri raat
honton ki pyaas bujhaani hai ab tire jee ko ye baat lage na lage
tujh se jo main ne pyaar kiya hai tere liye nahin apne liye

तुझ से जो मैं ने प्यार किया है तेरे लिए? नहीं अपने लिए
वक़्त की बे-उनवान कहानी कब तक बे-उनवान रहे
ऐ मिरे सोच-नगर की रानी ऐ मिरे ख़ुल्द-ए-ख़याल की हूर
इतने दिनों जो मैं घुलता रहा हूँ तेरे बिना यूँही दूर ही दूर
सोच तो क्या फल मुझ को मिला मैं मन से गया फिर तन से गया
शहर-ए-वतन में अजनबी ठहरा आख़िर शहर-ए-वतन से गया
रूह की प्यास बुझानी थी पर यहाँ होंटों की प्यास भी बुझ न सकी
बचते सँभलते भी एक सुलगता रोग बनी मिरे जी की लगी
दूर की बात न सोच अभी मिरे हात में तू ज़रा हात तो दे
तुझ से जो मैं ने प्यार किया है तेरे लिए? नहीं अपने लिए
बाग़ में है इक बेले का तख़्ता भीनी है इस बेले की सुगंध
ऐ कलियो क्यूँ इतने दिनों तुम रक्खे रहीं इसे गोद में बंद
कितने ही हम से रूप के रसिया आए यहाँ और चल भी दिए
तुम हो कि इतने हुस्न के होते एक न दामन थाम सके
सेहन-ए-चमन पर भौउँरों के बादल एक ही पल को छाएँगे
फिर न वो जा कर लौट सकेंगे फिर न वो जा कर आएँगे
ऐ मिरे सोच-नगर की रानी वक़्त की बातें रंग और बू
हर कोई साथ किसी का ढूँडे गुल हों कि बेले मैं हूँ कि तू
जो कुछ कहना है अभी कह ले जो कुछ सुनना है सुन ले
तुझ से जो मैं ने प्यार किया है तेरे लिए? नहीं अपने लिए

दिल की न पूछो क्या कुछ चाहे दिल का तो फैला है दामन
गीत से गाल ग़ज़ल सी आँखें साअद-ए-सीमीं बर्ग-ए-दहन
जूड़े के इन्हीं फूलों को देखो कल की सी इन में बास कहाँ
एक इक तारा कर के डूबी माथे की तन्नाज़ अफ़्शाँ
सहने का दुख सह न सके हम कहने की बातें कह न सके
पास तिरे कभी आ न सके हम दूर भी तुझ से रह न सके
किस से कहे अब रूह की बिपता किस को सुनाए मन की बात
दूर की राह भटकता राही जीवन-रात घनेरी रात
होंटों की प्यास बुझानी है अब तिरे जी को ये बात लगे न लगे
तुझ से जो मैं ने प्यार किया है तेरे? लिए नहीं अपने लिए

  - Ibn E Insha

Bimari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Bimari Shayari Shayari