vo furaat ke saahil par hon ya kisi aur kinaare par | वो फ़ुरात के साहिल पर हों या किसी और किनारे पर

  - Iftikhar Arif

vo furaat ke saahil par hon ya kisi aur kinaare par
saare lashkar ek tarah ke hote hain
saare khanjar ek tarah ke hote hain
ghodon ki taapon mein raundi hui raushni
dariya se maqtal tak phaili hui raushni
saare manzar ek tarah ke hote hain
aise har manzar ke baad ik sannaata chha jaata hai
ye sannaata tabl-o-alam ki dahshat ko kha jaata hai
sannaata fariyaad ki lay hai ehtijaaj ka lahja hai
ye koi aaj ki baat nahin hai bahut puraana qissa hai
har qisse mein sabr ke tevar ek tarah ke hote hain
vo furaat ke saahil par hon ya kisi aur kinaare par
saare lashkar ek tarah ke hote hain

वो फ़ुरात के साहिल पर हों या किसी और किनारे पर
सारे लश्कर एक तरह के होते हैं
सारे ख़ंजर एक तरह के होते हैं
घोड़ों की टापों में रौंदी हुई रौशनी
दरिया से मक़्तल तक फैली हुई रौशनी
सारे मंज़र एक तरह के होते हैं
ऐसे हर मंज़र के बाद इक सन्नाटा छा जाता है
ये सन्नाटा तब्ल-ओ-अलम की दहशत को खा जाता है
सन्नाटा फ़रियाद की लय है एहतिजाज का लहजा है
ये कोई आज की बात नहीं है बहुत पुराना क़िस्सा है
हर क़िस्से में सब्र के तेवर एक तरह के होते हैं
वो फ़ुरात के साहिल पर हों या किसी और किनारे पर
सारे लश्कर एक तरह के होते हैं

  - Iftikhar Arif

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari