vo khwaab tha bikhar gaya khayal tha mila nahin | वो ख़्वाब था बिखर गया ख़याल था मिला नहीं

  - Iftikhar Imam Siddiqi

vo khwaab tha bikhar gaya khayal tha mila nahin
magar ye dil ko kya hua kyun bujh gaya pata nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kya bichhad gaye ki jaise kuchh bacha nahin

vo saath tha to manzilen nazar nazar charaagh theen
qadam qadam safar mein ab koi bhi lab dua nahin

ham apne is mizaaj mein kahi bhi ghar na ho sake
kisi se ham mile nahin kisi se dil mila nahin

hai shor sa taraf taraf ki sarhadon ki jang mein
zameen pe aadmi nahin falak pe kya khuda nahin

वो ख़्वाब था बिखर गया ख़याल था मिला नहीं
मगर ये दिल को क्या हुआ क्यूँ बुझ गया पता नहीं

हर एक दिन उदास दिन तमाम शब उदासियाँ
किसी से क्या बिछड़ गए कि जैसे कुछ बचा नहीं

वो साथ था तो मंज़िलें नज़र नज़र चराग़ थीं
क़दम क़दम सफ़र में अब कोई भी लब दुआ नहीं

हम अपने इस मिज़ाज में कहीं भी घर न हो सके
किसी से हम मिले नहीं किसी से दिल मिला नहीं

है शोर सा तरफ़ तरफ़ कि सरहदों की जंग में
ज़मीं पे आदमी नहीं फ़लक पे क्या ख़ुदा नहीं

  - Iftikhar Imam Siddiqi

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Imam Siddiqi

As you were reading Shayari by Iftikhar Imam Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Imam Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari