kya ishq hai jab ho jaayega tab baat samajh mein aayegi | क्या इश्क़ है जब हो जाएगा तब बात समझ में आएगी

  - Iftikhar Raghib

kya ishq hai jab ho jaayega tab baat samajh mein aayegi
jab zehan ko dil samjhaayega tab baat samajh mein aayegi

pal mein khush pal mein ranjeeda aaye na samajh mein baat hai kya
dil khil khil kar murjhaayega tab baat samajh mein aayegi

gum-sum rahne ka kya hai sabab hansta hai akela mein koi kab
jab koi dil ko churaayega tab baat samajh mein aayegi

main auron ko samjhaata tha ai ishq mujhe maaloom na tha
jab kuchh na samajh mein aayega tab baat samajh mein aayegi

kya aafat dil ka aana hai be-sood abhi samjhaana hai
dil tadpega tadpaayega tab baat samajh mein aayegi

chhup-chhup kar dil kyun rota hai kya aalam-e-vahshat hota hai
rah-rah kar jee ghabraayega tab baat samajh mein aayegi

kya shay hai mohabbat ki khushboo aata hai nazar koi kyun har soo
aankhon mein koi bas jaayega tab baat samajh mein aayegi

raaghib mat pooch hai raghbat kya izhaar mohabbat kya hai bala
ik lafz na munh tak aayega tab baat samajh mein aayegi

क्या इश्क़ है जब हो जाएगा तब बात समझ में आएगी
जब ज़ेहन को दिल समझाएगा तब बात समझ में आएगी

पल में ख़ुश पल में रंजीदा आए न समझ में बात है क्या
दिल खिल खिल कर मुरझाएगा तब बात समझ में आएगी

गुम-सुम रहने का क्या है सबब हँसता है अकेले में कोई कब
जब कोई दिल को चुराएगा तब बात समझ में आएगी

मैं औरों को समझाता था ऐ इश्क़ मुझे मालूम न था
जब कुछ न समझ में आएगा तब बात समझ में आएगी

क्या आफ़त दिल का आना है बे-सूद अभी समझाना है
दिल तड़पेगा तड़पाएगा तब बात समझ में आएगी

छुप-छुप कर दिल क्यों रोता है क्या आलम-ए-वहशत होता है
रह-रह कर जी घबराएगा तब बात समझ में आएगी

क्या शय है मोहब्बत की ख़ुशबू आता है नज़र कोई क्यों हर सू
आँखों में कोई बस जाएगा तब बात समझ में आएगी

'राग़िब' मत पूछ है रग़बत क्या इज़हार मोहब्बत क्या है बला
इक लफ़्ज़ न मुँह तक आएगा तब बात समझ में आएगी

  - Iftikhar Raghib

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari