jalvo se na aankh jhapakti hai jalvo ko na aankh tarasti hai
ham ne vo piyaala pee hi liya jis mein na khumaar na masti hai
kuchh lamhe hain jin lamhon mein ehsaas use choo leta hai
aalam se udhar jo aalam hai hasti se udhar jo hasti hai
hai rooh ki haalat kundan ki jitna hi tapegi nikheregi
gham ek kasauti hai jis par ye fitrat ham ko kasti hai
hikmat ki bhi kheti ghark hui hairat ka bhi sehra doob chala
ghanghor ghatta hai yaad un ki kya toot ke dil pe barasti hai
har sair mein thi ik baat magar kya ab ke safar ki baat kahein
ham us basti mein ja nikle hasti se pare jo basti hai
is dil se ho kar dil se udhar ik basti hai jis basti mein
har jins ki naayaabi hai magar ik jins-e-tamaasha sasti hai
जल्वों से न आँख झपकती है जल्वों को न आँख तरसती है
हम ने वो पियाला पी ही लिया जिस में न ख़ुमार न मस्ती है
कुछ लम्हे हैं जिन लम्हों में एहसास उसे छू लेता है
आलम से उधर जो आलम है हस्ती से उधर जो हस्ती है
है रूह की हालत कुंदन की जितना ही तपेगी निखरेगी
ग़म एक कसौटी है जिस पर ये फ़ितरत हम को कसती है
हिकमत की भी खेती ग़र्क़ हुई हैरत का भी सहरा डूब चला
घनघोर घटा है याद उन की क्या टूट के दिल पे बरसती है
हर सैर में थी इक बात मगर क्या अब के सफ़र की बात कहें
हम उस बस्ती में जा निकले हस्ती से परे जो बस्ती है
इस दिल से हो कर दिल से उधर इक बस्ती है जिस बस्ती में
हर जिंस की नायाबी है मगर इक जिंस-ए-तमाशा सस्ती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ijtiba Rizvi
our suggestion based on Ijtiba Rizvi
As you were reading Baaten Shayari Shayari