zahar mein bujhe saare teer hain kamaanon par | ज़हर में बुझे सारे तीर हैं कमानों पर

  - Ikram Mujeeb

zahar mein bujhe saare teer hain kamaanon par
maut aan baithi hai jaa-b-jaa machaanon par

ham buraai karte hain doobte hue din ki
tohmaten lagaate hain ja chuke zamaanon par

is haseen manzar se dukh kai ubharne hain
dhoop jab utarni hai barf ke makaanon par

shauq khud-numaai ka intiha ko pahuncha hai
shohraton ki khaatir ham saj gaye dukano par

kis tarah hari hongi e'timaad ki belen
jab munaafiqat sab ne odh li zabaanon par

ज़हर में बुझे सारे तीर हैं कमानों पर
मौत आन बैठी है जा-ब-जा मचानों पर

हम बुराई करते हैं डूबते हुए दिन की
तोहमतें लगाते हैं जा चुके ज़मानों पर

इस हसीन मंज़र से दुख कई उभरने हैं
धूप जब उतरनी है बर्फ़ के मकानों पर

शौक़ ख़ुद-नुमाई का इंतिहा को पहुँचा है
शोहरतों की ख़ातिर हम सज गए दुकानों पर

किस तरह हरी होंगी ए'तिमाद की बेलें
जब मुनाफ़िक़त सब ने ओढ़ ली ज़बानों पर

  - Ikram Mujeeb

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ikram Mujeeb

As you were reading Shayari by Ikram Mujeeb

Similar Writers

our suggestion based on Ikram Mujeeb

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari