aur hi kahi thehre aur hi kahi pahunchen
jis jagah pahunchana tha ham wahan nahin pahunchen
hijr ki masafat mein saath tu raha har dam
door ho gaye tujh se jab tire qareen pahunchen
taayir-e-talab ki hai har udaan us dar tak
na-muraad dil ka har raasta wahin pahunchen
rukh kare idhar ka hi har azaab duniya ka
aasmaan se jo utre vo bala yahin pahunchen
har dil o nazar mein ho ik nikhaar sa paida
bad-gumaan zehnon tak nemat-e-yaqeen pahunchen
और ही कहीं ठहरे और ही कहीं पहुँचे
जिस जगह पहुँचना था हम वहाँ नहीं पहुँचे
हिज्र की मसाफ़त में साथ तू रहा हर दम
दूर हो गए तुझ से जब तिरे क़रीं पहुँचे
ताएर-ए-तलब की है हर उड़ान उस दर तक
ना-मुराद दिल का हर रास्ता वहीं पहुँचे
रुख़ करे इधर का ही हर अज़ाब दुनिया का
आसमाँ से जो उतरे वो बला यहीं पहुँचे
हर दिल ओ नज़र में हो इक निखार सा पैदा
बद-गुमान ज़ेहनों तक नेमत-ए-यक़ीं पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ikram Mujeeb
our suggestion based on Ikram Mujeeb
As you were reading Relationship Shayari Shayari