dekha hai abhi tum ne tum ne abhi jaana hai | देखा है अभी तुम ने तुम ने अभी जाना है

  - Irshad 'Arsh'

dekha hai abhi tum ne tum ne abhi jaana hai
lekin ye zamaane ka andaaz puraana hai

kya kaar-e-aziyat hai karna use ruksat bhi
aansu bhi chhupaane hain hanskar bhi dikhaana hai

is bazm-e-mohabbat mein kuchh der zara thehro
kis baat ki jaldi hai aakhir kahaan jaana hai

kuchh aur kaha hota to maan bhi jaata dil
par tum ne banaya jo common sa bahaana hai

देखा है अभी तुम ने तुम ने अभी जाना है
लेकिन ये ज़माने का अंदाज़ पुराना है

क्या कार-ए-अज़ीयत है करना उसे रुख़्सत भी
आँसू भी छुपाने हैं हँसकर भी दिखाना है

इस बज़्म-ए-मोहब्बत में कुछ देर ज़रा ठहरो
किस बात की जल्दी है आख़िर कहाँ जाना है

कुछ और कहा होता तो मान भी जाता दिल
पर तुम ने बनाया जो कॉमन सा बहाना है

  - Irshad 'Arsh'

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Irshad 'Arsh'

As you were reading Shayari by Irshad 'Arsh'

Similar Writers

our suggestion based on Irshad 'Arsh'

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari