teri gali ko chhod ke paagal nahin gaya | तेरी गली को छोड़ के पागल नहीं गया - Ismail Raaz

teri gali ko chhod ke paagal nahin gaya
rassi to jal gai hai magar bal nahin gaya

majnoon ki tarah chhodaa nahin main ne shehar ko
ya'ni main hijr kaatne jungle nahin gaya

us ko nazar utha ke zara dekhne to de
phir kehna mera jaadu agar chal nahin gaya

haaye vo aankhen taat ko takte hi bujh gaeein
haaye vo dil ki jaanib-e-makhmal nahin gaya

tere makaan ke baad qadam hi nahin uthe
tere makaan se aage main paidal nahin gaya

तेरी गली को छोड़ के पागल नहीं गया
रस्सी तो जल गई है मगर बल नहीं गया

मजनूँ की तरह छोड़ा नहीं मैं ने शहर को
या'नी मैं हिज्र काटने जंगल नहीं गया

उस को नज़र उठा के ज़रा देखने तो दे
फिर कहना मेरा जादू अगर चल नहीं गया

हाए वो आँखें टाट को तकते ही बुझ गईं
हाए वो दिल कि जानिब-ए-मख़मल नहीं गया

तेरे मकाँ के बाद क़दम ही नहीं उठे
तेरे मकाँ से आगे मैं पैदल नहीं गया

- Ismail Raaz
9 Likes

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ismail Raaz

As you were reading Shayari by Ismail Raaz

Similar Writers

our suggestion based on Ismail Raaz

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari