teri peshaani-e-rangeen mein jhalkati hai jo aag
tere rukhsaar ke phoolon mein damkati hai jo aag
tere seene mein jawaani ki dahakti hai jo aag
zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de
teri aankhon mein farozaan hain jawaani ke sharaar
lab-e-gul-rang pe raksaan hain jawaani ke sharaar
teri har saans mein ghaltan hain jawaani ke sharaar
zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de
har ada mein hai jawaan aatish-e-jazbaat ki rau
ye machalte hue shole ye tadapati hui lau
aa meri rooh pe bhi daal de apna partav
zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de
kitni mahroom nigaahen hain tujhe kya maaloom
kitni tarsi hui baahen hain tujhe kya maaloom
kaisi dhundli meri raahen hain tujhe kya maaloom
zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de
aa ki zulmat mein koi noor ka saamaan kar luun
apne tareek shabistaan ko shabistaan kar luun
is andhere mein koi sham'a farozaan kar luun
zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de
baar-e-zulmaat se seene ki fazaa hai bojhal
na koi saaz-e-tamanna na koi soz-e-amal
aa ki mashal se tiri main bhi jala luun mashal
zindagi ki ye haseen aag mujhe bhi de de
तेरी पेशानी-ए-रंगीं में झलकती है जो आग
तेरे रुख़्सार के फूलों में दमकती है जो आग
तेरे सीने में जवानी की दहकती है जो आग
ज़िंदगी की ये हसीं आग मुझे भी दे दे
तेरी आँखों में फ़रोज़ाँ हैं जवानी के शरार
लब-ए-गुल-रंग पे रक़्साँ हैं जवानी के शरार
तेरी हर साँस में ग़लताँ हैं जवानी के शरार
ज़िंदगी की ये हसीं आग मुझे भी दे दे
हर अदा में है जवाँ आतिश-ए-जज़्बात की रौ
ये मचलते हुए शोले ये तड़पती हुई लौ
आ मिरी रूह पे भी डाल दे अपना परतव
ज़िंदगी की ये हसीं आग मुझे भी दे दे
कितनी महरूम निगाहें हैं तुझे क्या मालूम
कितनी तरसी हुई बाहें हैं तुझे क्या मालूम
कैसी धुँदली मिरी राहें हैं तुझे क्या मालूम
ज़िंदगी की ये हसीं आग मुझे भी दे दे
आ कि ज़ुल्मत में कोई नूर का सामाँ कर लूँ
अपने तारीक शबिस्ताँ को शबिस्ताँ कर लूँ
इस अँधेरे में कोई शम्अ फ़रोज़ाँ कर लूँ
ज़िंदगी की ये हसीं आग मुझे भी दे दे
बार-ए-ज़ुल्मात से सीने की फ़ज़ा है बोझल
न कोई साज़-ए-तमन्ना न कोई सोज़-ए-अमल
आ कि मशअल से तिरी मैं भी जला लूँ मशअल
ज़िंदगी की ये हसीं आग मुझे भी दे दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Phool Shayari Shayari