baad-o-baraan se uljhta khanda-zan girdaab par | बाद-ओ-बाराँ से उलझता ख़ंदा-ज़न गिर्दाब पर

  - Jagan Nath Azad

baad-o-baraan se uljhta khanda-zan girdaab par
ik jazeera tairta jaata hai satah-e-aab par
gum kai sadiyon ka us mein jazba-e-tahqeeq hai
ye jazeera aadmi ke zehan ki takhleeq hai
ja raha hai har ghadi maujon se takraata hua
apne hi andaaz mein apna rajjaz gaata hua
bahar ki amwaaj par bahte hue shahr-e-jameel
har qadam tera liye hai teri azmat ki daleel
aandhiyon ka zor maujon ki rawaani tujh mein hai
irtiqa-e-zehn-e-insaan ki kahaani tujh mein hai
har bhanwar mein aur har toofaan mein saahil hai tu
seena-e-imrooz-o-farda ka dhadakta dil hai tu
to tajalli hi tajalli hai andheri raat mein
raushni ka hai manaara aalam-e-zulmaat mein
raat aayi jaag utha insaan ka zauq-e-be-bisaat
aakhiri is ka thikaana mard o zan ka ikhtilaat
kis qadar arzaan hue tahzeeb ke lamaat-e-noor
allah allah chaar jaanib raushni ka ye wafur
is tarah se main ne kab dekhi thi may-khaane mein dhoom
auraton mardon ka ladkon ladkiyon ka ye hujoom
sab nashe mein mast hain lekin hain kitne ba-khabar
phir rahe hain sab ke sab ik doosre ko thaam kar
ahmareen saaghar lab-e-la'alim nigaahen may-farosh
har taraf hai ek masti har taraf hai ik kharosh
is jagah idraak se begaana koi bhi nahin
sab hain farzaane yahan deewaana koi bhi nahin
aql ki is bazm mein deewaangi ka kaam kya
dhoondhta hai tu yahan aa kar dil-e-naakaam kya
itni aagaahi kisi ko ho ye mohlat hi nahin
kis ki baahen kis ki gardan mein hamaail ho gaeein
aa ke aaghosh-e-hawas mein khud yahan girta hai husn
kis qadar kacche sahaare dhoondhta firta hai husn
jis se kheera teri aankhen hain chamak europe ki hai
dekh ai azaad ye pehli jhalak europe ki hai

बाद-ओ-बाराँ से उलझता ख़ंदा-ज़न गिर्दाब पर
इक जज़ीरा तैरता जाता है सतह-ए-आब पर
गुम कई सदियों का उस में जज़्बा-ए-तहक़ीक़ है
ये जज़ीरा आदमी के ज़ेहन की तख़्लीक़ है
जा रहा है हर घड़ी मौजों से टकराता हुआ
अपने ही अंदाज़ में अपना रजज़ गाता हुआ
बहर की अमवाज पर बहते हुए शहर-ए-जमील
हर क़दम तेरा लिए है तेरी अज़्मत की दलील
आँधियों का ज़ोर, मौजों की रवानी तुझ में है
इर्तिक़ा-ए-ज़ेहन-ए-इंसाँ की कहानी तुझ में है
हर भँवर में और हर तूफ़ान में साहिल है तू
सीना-ए-इमरोज़-ओ-फ़र्दा का धड़कता दिल है तू
तो तजल्ली ही तजल्ली है अँधेरी रात में
रौशनी का है मनारा आलम-ए-ज़ुल्मात में
रात आई जाग उठा इंसाँ का ज़ौक़-ए-बे-बिसात
आख़िरी इस का ठिकाना मर्द ओ ज़न का इख़्तिलात
किस क़दर अर्ज़ां हुए तहज़ीब के लमआत-ए-नूर
अल्लाह अल्लाह चार जानिब रौशनी का ये वफ़ूर
इस तरह से मैं ने कब देखी थी मय-ख़ाने में धूम
औरतों मर्दों का लड़कों लड़कियों का ये हुजूम
सब नशे में मस्त हैं लेकिन हैं कितने बा-ख़बर
फिर रहे हैं सब के सब इक दूसरे को थाम कर
अहमरीं साग़र, लब-ए-ल'अलीं, निगाहें मय-फ़रोश
हर तरफ़ है एक मस्ती, हर तरफ़ है इक ख़रोश
इस जगह इदराक से बेगाना कोई भी नहीं
सब हैं फ़रज़ाने यहाँ दीवाना कोई भी नहीं
अक़्ल की इस बज़्म में दीवानगी का काम क्या
ढूँढता है तू यहाँ आ कर दिल-ए-नाकाम क्या
इतनी आगाही किसी को हो ये मोहलत ही नहीं
किस की बाहें किस की गर्दन में हमाइल हो गईं
आ के आग़ोश-ए-हवस में ख़ुद यहाँ गिरता है हुस्न
किस क़दर कच्चे सहारे ढूँढता फिरता है हुस्न
जिस से ख़ीरा तेरी आँखें हैं चमक यूरोप की है
देख ऐ 'आज़ाद'! ये पहली झलक यूरोप की है

  - Jagan Nath Azad

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari