itna bhi shor tu na gham-e-seena chaak kar
ishq ik lateef shola hai is ko na khaak kar
ai dil huzoor-e-dost b-sad ehtiraam ja
daaman ko chaak kar na garebaan ko chaak kar
daur-e-gham-e-firaq ki tareekiyo ko dho
jalvo se un ke apna jahaan tabaanaak kar
dar hai kahi main shauq-e-faraavan se mar na jaaun
ai jazba-e-tarab na mujhe yun halaak kar
azaad is se pehle ki un par nazar pade
ashkon se dhoke apni nigaahon ko paak kar
इतना भी शोर तू न ग़म-ए-सीना चाक कर
इश्क़ इक लतीफ़ शोला है इस को न ख़ाक कर
ऐ दिल हुज़ूर-ए-दोस्त ब-सद एहतिराम जा
दामन को चाक कर न गरेबाँ को चाक कर
दौर-ए-ग़म-ए-फ़िराक़ की तारीकियों को धो
जल्वों से उन के अपना जहाँ ताबनाक कर
डर है कहीं मैं शौक़-ए-फ़रावाँ से मर न जाऊँ
ऐ जज़्बा-ए-तरब न मुझे यूँ हलाक कर
आज़ाद इस से पहले कि उन पर नज़र पड़े
अश्कों से धोके अपनी निगाहों को पाक कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad
our suggestion based on Jagan Nath Azad
As you were reading Valentine Shayari Shayari